Friday, July 10, 2009

YAAD AATA HAI O SAHAR

Yaad aata hai wo MuzaffarpurWo Motijheel ka sama, Puja market ki chat,Wo Vaishali ki ice cream, Wah usme thi kuchh baatWo Mahraja ki mithai, wo Bharat Jalpan ka dosaWo Daudi Market ki pav bhaji aur Shubhraj ka samosa.Wo bike ka safar, wo MDDM wale road ki hawa,Wo Jubba Sahni Park ki raunak aur Devi Mandir ka sama.Wo Zilla School maidan mein cricket aur harne pe jhagra,Wo Mithanpura ki galiyaan aur galiyon mein bhatakna, Sab chhut gaye hai durYaad aata hai wo Muzaffarpur.Wo January ki kadake ki sardi, wo baarishon ke mahiney,Wo garmi ke din, jab chhutate they paseeney.Wo dusehre ki dhoom, wo chatth mein shradda,Wo holi ki masti, wo doston ki toli,Wo diwali ke patakhe aur janmashtmi ki roli.Wo Pankaj Market ki galiyan , wo North Point,Sunshine ki ladkiyan.Wo Shyam ki balcony aur wo Jawahar ka sound,Wo MDDM college ki kudiyan aur unki jodiyan,Wo bina license ki bike riding,aur Town thane pe police ka pakarna,Bas chhut gaye hai durHumko yad ata hai wo apna muzpur
COURTSEY DEEPSHIKHA

No comments: